
Khalla
Mein!
Tum!
Hum akelay hain..
Bekali ki chaon mein hum be-hiss jeetay hain
Jeetay hain
Aarzoo, ab chupee hai kahan?
Uss dayaar-e-khaamashi mein, yeh dil hai jahaan!
Who jahan
Ab Nahi hai, par woh hai kahan?
Hum hain kahaan?
Ghaafil hain sayay mein apnay jahan, hum hain wahan!
Ab lagay aisay jaisay zameen se bohat dur!
Ab jaisay aur aagay barhnay peh hain majboor!
Keh jaisay chaand aur taaray poochtay hain mujh se
Kahaan hai teri zindagi, kahaan hai tu?
Kahaan tu?
Tum ne apnay ehsaas ko maar diya!
Phir tum ne uss ki mayyat ko jala diya!
Ab tum iss ki raakh par kharay ho
Aur tumharee insaniyat aur tumharay darmiyan,
Ek khalla hai!